Huawei ke next P series flagship smartphone P11 ke camera ko lekar polular leakster Evan Blass ne ek image post ki hai, jisse pata chal raha hai ki ye smartphone 3 rear cameras ke saath launch ho sakta hai.
Generally, dual rear cameras ka trend hai aur kayi smartphones overall 4 cameras ke saath aa rahe hain jismein dual rear and dual front cameras include hote hain. Lekin agar ye rumor sach hota hai to Huawei P11 aisa pehla smartphone hoga jismein 3 rear cameras honge.
According to leaks, P11 mein 40 MP ke triple rear cameras honge aur saath hi 24 MP ka front camera bhi moujood hoga jinhein Huawei ne Leica ke saath milkar banaayaa hai. Iske alawa 40 MP ke in triple cameras ke saath 5X optical zoom ka feature aur shayad triple LED flash light bhi moujood hogi. Iske alawa is smartphone ke camera mein AI powered assiatant bhi hoga jo image ko sahi tarike se lene mein aapki sahayta karega.
According to some information, Huawei is baar camera mein ek naya feature bhi de raha hai jise ‘Pro night mode’ ka naam diya gaya hai. Kaha jaa raha hai ki is feature se aap night clicks mein 100% jyada light capture kar payenge taaki aapki memories photos mein aur khoobsoorat dikhe.
P11 ka front camera jo ki 24 MP ka hai usmein bhi better selfies click karne ke liye LED flash light support mil sakta hai jaisa ki Huawei ke other flagship devices mein hota hai. Iske alawa abhi is smartphone ke aur features jaise ki display, processor, battery, chipset, storage, etc. ke baare mein koi information nahi mil paayi hai.
Lekin anumaan ye zaroor lagaya jaa raha hai ki company is smartphone ko ‘Mobile World Congress 2018’ mein launch kar sakti hai.
Our Website www.iamurankit.com
Our Youtube Channel I Am Ur Ankit
Follow Us On Facebook I Am Ur Ankit
Follow Us On Twitter I Am Ur Ankit
Follow Us On Instagram I Am Ur Ankit
Our Youtube Channel I Am Ur Ankit
Follow Us On Facebook I Am Ur Ankit
Follow Us On Twitter I Am Ur Ankit
Follow Us On Instagram I Am Ur Ankit
Social Plugin