Lenovo ka upcoming handset Lenovo K320t China mein TENAA par certification ke liye spot kiya gaya, ummid hai ki Lenovo apne is smartphone ko jaldi hi launch karega aur ye smartphone Black aur Silver colors mein aa sakta hai. Halaanki company is handset ko kya naam degi, iske baare mein abhi koi information nahin hai.
Market trend ko follow karte huye Lenovo K320t mein bhi full view display company ne di hai. Is smartphone mein 5.7 inch ki display hai jo HD+ (1440 x 720 pixels) resolution ke saath aayegi. Is smartphone mein 1.3 GHz quad core processor hai, lekin abhi GPU unknown hai.
Lenovo K320t two variants mein launch ho sakta hai jismein 2GB RAM aur 16GB ROM wala variant, iske alawa 3GB RAM aur 32GB ROM wala variant. TENAA ki tasveer dwara ye saaf pata chalta hai ki ismein dual rear camera set up hai jo upper left par moujood hai aur center mein fingerprint scanner bhi diya gaya hai.
Lenovo K320t Android 7.1.2 Nougat OS ke saath aa sakta hai aur ismein 3,000mAh ki battery hogi, lekin ye fast charging support ke saath aayegi ya nahin, ye kehna abhi mushkil hai.
Company ki taraf se bhi abhi is smartphone ko lekar koi announcement ya statement nahin di gayi hai, lekin features ko dekhte huye ye lag raha hai ki ye affordable segment mein hi launch hoga.
Ummid hai ki Lenovo ka ye smartphone 15,000 INR ke budget mein jaldi hi launch kiya jaayega.
Our Website www.iamurankit.com
Our Youtube Channel I Am Ur Ankit
Follow Us On Facebook I Am Ur Ankit
Follow Us On Twitter I Am Ur Ankit
Follow Us On Instagram I Am Ur Ankit