India mein jitney bhi log affordable smartphones talaash karte hain unki pehli pasand sirf Xiaomi hi hai aur iska prrof hai Xiaomi ke smartphones ka on sale aate hi seconds mein sale ho jaana. Well, India mein pehle Samsung ke affordable smartphones jyada bikte the, lekin Xiaomi ne use bhi ya fir usi kimat par achhe specs dekar Indian smartphone market mein apni jagah banaayi.

Ye to hum sabhi jaante hain ki premium smartphones mein Samung se behtar shayad kuch nahi lekin affordable market mein Samsung ko Xiaomi peeche chod chuka hai aur apni jagah wapas paane ke liye Samsung ab ek nayi smartphone series launch karne ki taiyaari kar raha hai.
Ye khabar ET ki reports se mili hai ki Samsung ek nayi series affordable smartphone series launch karne waala hai jo ek online exclusive series hogi aur Xiaomi ke saath other affordable smartphones ko takkar bhi degi.
Offline market ke distributors aur retailers ke commission ko cut karke companies online stores par apne smartphones kaafi kam daamon mein customers tak pahuncha sakte hain. Saath hi ye cost aur bhi cut ho jaati hai jab companies apne smartphones ko kayi e-commerce channels par sale karne ki bajaay kisi exclusive par sale karti hain.

Samsung Electronics’ Galaxy S8 smartphones are displayed during a media event at a company’s building in Seoul, South Korea, April 13, 2017. REUTERS/Kim Hong-Ji
Samsung ka Galaxy A8+ bhi kewal Amazon par hi available hai aur upcoming smartphone Galaxy On7 Prime bhi exclusively Flipkart par hi launch hoga. Iske alawa khabar ye bhi hai ki is nayi online series ke smartphone 10 to 15 thousand ki price range mein hi launch honge jisse company Xiaomi aur other budget smartphones ke saath compete kar sake.
Halaanki ye ek achhi khabar hai kyonki entry-level smartphone lene waalon ke paas ab ek aur brand ki choice hogi, lekin Xiaomi ke liye ye khabar buri hai kyonki aise mein Samsung brand ke deewaane jo affordable smartphone lena chahte hain ab Samsung ki taraf mudne lagenge, lekin Samsung is price range mein specifications kaise deta hai, ye bhi ek bada sawaal hai jiska jawaab is nayi series ke smartphones launch hone par hi pata chalega.
Our Website www.iamurankit.com
Our Youtube Channel I Am Ur Ankit
Follow Us On Facebook I Am Ur Ankit
Follow Us On Twitter I Am Ur Ankit
Follow Us On Instagram I Am Ur Ankit
Our Website www.iamurankit.com
Our Youtube Channel I Am Ur Ankit
Follow Us On Facebook I Am Ur Ankit
Follow Us On Twitter I Am Ur Ankit
Follow Us On Instagram I Am Ur Ankit
Social Plugin